Posted by : Unknown Saturday, May 25, 2013

 Hard Disk Health Checking Software Review. Asalam Alikum Doston Ajj Main jo Software app logo k sath share karnai ja raha ho ya app kai boht kam askta hai.Tutorial start kartai hain.


Software Information :


Software Name : CrystalDiskInfo
Version : 4.0.2
Size : 1.03 Mbps
Download Link : Click Here To Download


Software Used For :


1 ) Is software k zariya app apni hard disk ka status malum kar saktai hain.
2 ) hard disk ka temprature malum kar saktai hain.
3 ) hard disk ki performance ka graph daikh saktai hain
4) Is software ka sub say bara faida ya hai k app ko jeb apni hard disk ka status pata chal jaiga to app apna data Hard disk k kharab honai say pahlay hi kisi save jaga save kar laingai.


Software Review With Screenshoots :

Download File ko winrar k zariya Extract kar lain.us k bad Exe File ko run karain ya Software run ho jai ga.



Step 2:

Jo Status Mainai Highlight kya hai yanha app ki hard drive ka status ajai ga Agar status good hai to apki hard disk ko koi khatra nahi or uski life abhi achi hai.But agar yanha Bad ya other Comments show ho rahai hain To App us par Click karain.



Step 3:

Click karnai k bad apkai pas ya window open ho jai gi.




Step 3:

Jis option ko mainai under red kiya hoa hai usai thora thora kar k agai ki taraf lain or apply kartai rahain agar status good ajai to hard disk abhi bhi kuch thik condition main hai par agar ya option 50% say bhi zada karnai par Status good na karai to samaj jai k apki hard disk kabhi bhi apko dhoka dai sakti hai.Or app apna kimti data pahlai hi nikal lain.




Step 4:

Ya option Apki hard disk ka temprature show kar raha hai 



Step 5:

Apni Hard disk ka graph daikhnai k liya is option par click karian click karain.



Tutorial Read karnai k bad app k Reply ka intazar rahai ga Allah hafiz.



Adsense


- Copyright © Free Tutorials - Designed by Wajahat Hussain -